ek nagar se nagar naya
ek se badhkar qile gaya
haathi dekhe geedad dekhe
nadi ke pani tale gaya
duniya ke sab kate chakkar
karne man ki akkar bakkar
ko shant nahi koi baandh mila
main agni ko chadh bhale gaya
jab chakkar aaya ulta ghooma
chakkar chakrane chala namuna
aisa zoron palat gira
ke aankhon mein andhera nira
aur haath wo aaya, halka komal
khada kiya mujhe zameen pe samtal
sthir tha mera yaar sang mere
charon oor tha ghume bhootal
No comments:
Post a Comment