Thursday, March 13, 2008

do mukam

mukam do hain zindagi mein
pane ko betaab yun hain.
lalachi kamzoriyan,
danav wo benaqaab kyu hain

yun kabhi ehsaas tha hua
pa liye jaise hon manzil
par mukam tha akela
kyuki mera dil tha buzdil

gir ke jhuk ke yu kisi ke
pairo pad ke paye wo kya
manzil hai dono ko pana
ek ko paye ho to kya

koshishon se ek din fir
chot kha, sabko hara kar
duja mukaa bhi aya to hai
par jo dekha, sir ghuma kar

pehli manzil chhod di hai
wapas kahi wo ja khadi hai
ye bhala kya zulm maula
ye bhala kaisi ghadi hai

pa sakenge ek ko hi
pate hi duji hai kho rahi
jane ye rishta hai kaisa
ye jo mil jaye to wo nahi

haarne girne ke mausam
to nahi lautenge par ab
ja lute manzil meri ya
chahe lut bhi jaye ghar ab

paunga jo paunga to
sath hi dono mukam
na jo paye, kar guzar
jayenge sab hi ko salaam

2 comments: