Sunday, August 01, 2010

hamara

likhhe syahi se rang
jo udte hawa mein
uchhal kar bajti taaron se
tere haathon ki razaa mein


aur awaazein bhar jati
kaano mein nidar jati
thoda bawaal karti
aur ander bikhar jati


uthe naach ander hi
dhaara laal jo behti hai
laali chadh gayi laal gaal pe
man ka hi sach kehti hai


mera hi gaana to tha
par mujhse zyada ho gaya
jab taaron par tere haathon ne
padh liya, hamara ho gaya

No comments:

Post a Comment