Wednesday, June 15, 2016

jabse pyaar mila hai

ashaant mann ko mere
thamne ka kagaar mila hai
ek paak chehre ki kaaya
me wo aasaar mila hai

baayein hath ke adhoore chaand
ko daayan chhayadaar mila hai
pagle daayein dimag ko
baayan samajhdaar mila hai

tujhko jaise mere naap
ki razai sa sila hai
tujhko tere naap ka vaisa
mujhme bistar mila hai

ad jayein to jhuk jaye sarkaar
hum collector, ye duniya zila hai
hud hud dabangg dabangg hud hud dabangg dabangg
apne dum se har takhta hila hai

socho jo ek hokar
jawab har baar mila hai
ye mujrim kaid me khush hai
ise aisa thanedaar mila hai

ahenkaar ki haar hui itna
ishq khunkhaar mila hai
khoyi ruh ko ab hai karaar
aisa mujhe yaar mila hai

1 comment:

  1. I find meaning in every syllable you weave, and I later find poetry in every whiff I breathe :D
    You do magic with your words! Lucky you and lucky her :)
    Waiting for more

    ReplyDelete