Sunday, March 23, 2008

bhedo ki bheed

.
deewarein rakhe dimago mein
firte hain sadko raho mein
aankhein hai par nazrein nahi
chahatein rakhe salakhon mein

anjan hain wo beiman nahi
icchha hai par armaan nahi
kisi lau ki koi chamak nahi
andhera bhara hai aankhon mein

bachkane se hridayvan mein
beintaha khalipan mein
panape hai zindagi in sabki
bandhi khud hi ke dhaago mein

aakaar to lo vistaar to lo
kuch karne ka vichaar to lo
khade hain bas ek kataar main
mar chuki hai dhun sab raagon mein

na hasi hai unke thahakon mein
na karah unki aahon mein
bas hath baandh kar yu apne
chal pade allah ki panahon mein

.

4 comments: