banda:
meri zindagi naraaz hai.
jabki sab isi ke kaaj hain
kabhi kehti hai kaho,
kabhi ye ki chup raho
kabhi bole ki chup kyu ho,
kabhi ye ki bas.. kyu ho
kabhi ye ke tu hai kaun,
kabhi puche bata main kaun.
zindagi:
keh pau agar chup ho,
sunne ko zara ruk to
ke main kavita hu tere man ki
aur tu syahi bhi kalam bhi
ke tujhpar hasi bhi aati hai
kabhi gussa aur sharam bhi
main kapde hu tere tan pe,
main dhabbe hu tere man ke
main joote tere pairon ke,
main vaade hu gairon ke
main parchhai main shehnai,
main naiyya main purvai
ab bas itni si hai arzi
ke anjaan bedardi
kadwahat hai to ho lazzat bhi,
ke badnaami ho, to izzat bhi
ke kab se saath hu tere main,
kab se kaaj hu kare main
kabse jeeta hai mujhko
kabse peeta hai mujhko
ke ghaav bhi deta hai
fir khud hi seeta hai mujhko
aa maan bhi ja ke roothe der ho chali
kahin roshni aag mein ekdum na jal bujhe
jal mand mand apne man ki chaal mein
samajhna kya hai, bas jeeta chal mujhe
not bad .. eh ... bish the poet making comebacks?
ReplyDelete