Thursday, December 20, 2007

ke ye naina hai kehte
mujhse, tere
man mein rehte
khwaab meri
aarzoo mein karte rehte
justujoo hain


na koi bandishein
na ranjishein
na raste rukavatein hain
aahatein hain
kadmo ki jo
bajti si jo
man mein yun hai


khol bhi do
ye badi jo
aankhein hain na
baatein hain na
karti jaise
darti aise
fir ye kyu hai


bol do gar
jhooth hai sab
bolo magar
kuch mere rab
dekh idhar
bhar rahe ab
ye aansoo hain


jana chale
mil ke gale
khanjar ko
seene tale
rakh bhi lungi
na karungi
aarzoo main

7 comments:

  1. nice! I loved the last two paras

    ReplyDelete
  2. yo :)

    duniya mein koi to mera blog padhta hai

    thnks :)

    chalo kabhi kuch mil ke likhte hain wotsay

    ReplyDelete
  3. uff main language mein hi kho gayi, itna kathin, :(

    ek aur baar padti hun

    ReplyDelete
  4. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  5. sundar, ati sundar :)

    samajh aa gayi, in two goes ! phew!

    ReplyDelete
  6. Thanks for posting thiss

    ReplyDelete