Monday, November 21, 2011

raat ka shauq hai

raat ka shauq hai
dheere se aana
sehme, darte dilon ko
roshni se bachana

san san si chale
jale dono ke saath mein
kaanpti, karaahti
saanson ke haath mein

baalon mein bhar jaye
yun sir pe chadh jaye
khwaabon ko neendon ke
bin aaye padh jaye

kuch raatein hoti hain
kehna nahi sunti
sapnon mein haqeeqat ka
katra nahi bunti

aur aadesh itne ki
sunne wale thak jayein
badi der toote judein
fir raat mein dhak jayein

udaan unchi zara zyada thi
aaj dil fat hi na jaye
dono jakde hain duje ko
ke kasoor bant hi na jaye

aag to raat ki thi na
to wahi zimmedaar hai
raat ka shauq hai
raat kasoorwar hai

Sunday, September 11, 2011

Dilli Wali: Day 185



She was disappointed with herself. It was no one's fault. Not even hers. No, she wouldn't take this lying down. She sped past him and went straight to the Bar, as straight as she could manage. A martini would do. Shaken, not stirred. James Bond would be so proud.

"That man is harassing me! Can you please send some big guys to take care of the matter, please? I think he's a cop."
"Your boyfriend, you mean, ma'am?"
"Yes! My boyfriend! That rascal!", she said with clenched teeth, thumping the table.

Continue reading

Thursday, September 08, 2011

Pyaar ke pakode

Gardan akdi hai,
Dil muh fulaye baitha hai
Rehne do, kehta hai,
kya padoge pyaar mein,
Kamar mein to dard rehta hai

Wednesday, September 07, 2011

Dilli Wali: Day 186



“You’re really not going to put that out, are you?”
“No.”

He swerved the car for a tight overtake. She kept leaning out the window. Breathing in, breathing out.

“It’s hurting my lungs. You have no right to hurt my lungs. Please go sit on the roof or something.”
“Shut up and drive, I’m doing the best I can.”

She kept lying limply out the window. Watching her cigarette burn furiously in the wind.

Continue reading

Tuesday, August 16, 2011

brb

Amrood ki gatthi si hai
Gale se utarti nahi
Ek duvidha ikatthi si hai
Tute na, bikharti nahi

Dil dimag ke highway par
Accident se jam hai
Ek laal hari batti si hai
Himmat guzarti nahi

Raste bhi bichha dete
Diyon se jala dete
Pichhli baarish ke magar kuch ghadde
Bhar jayein to milte hain

Thursday, June 09, 2011