Monday, November 21, 2011

raat ka shauq hai

raat ka shauq hai
dheere se aana
sehme, darte dilon ko
roshni se bachana

san san si chale
jale dono ke saath mein
kaanpti, karaahti
saanson ke haath mein

baalon mein bhar jaye
yun sir pe chadh jaye
khwaabon ko neendon ke
bin aaye padh jaye

kuch raatein hoti hain
kehna nahi sunti
sapnon mein haqeeqat ka
katra nahi bunti

aur aadesh itne ki
sunne wale thak jayein
badi der toote judein
fir raat mein dhak jayein

udaan unchi zara zyada thi
aaj dil fat hi na jaye
dono jakde hain duje ko
ke kasoor bant hi na jaye

aag to raat ki thi na
to wahi zimmedaar hai
raat ka shauq hai
raat kasoorwar hai

4 comments:

  1. "Awesome, amazing" and words of the ilk are routine I guess. Reading this, I remembered "Mera kuchh saamaan" by Gulzar for some reason, and its one of my most favorite songs. Needless to say, loved this post. Keep the wonderful words pouring in :)

    ReplyDelete
  2. Mukarrar kia jaaye isse.. riyasat-e-kavitaon ke supurd.. ek ghalib ki raat thi.. ek aapka zalzala :) This needs to be shared with everybody!

    ReplyDelete
  3. I just developed a huge crush on you.

    ReplyDelete
  4. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete