PACHyog
bahut yaad aati hain,
wo galiyan, wo ghadiyan
wo mandli, PACH kundli
wo shadi kavita aur fuhadta ki
wo bhaav ki alhadta bhi
wo cinema hall
jahan baalbala ke baal
pakde gaye the
galti se jakde gaye the
wo shikayatein ek kaviyatri ki
apne bhagwaan se
aur sabka apnapan
kisi ke masoom armaan se
us adiyal bhojpuri ghode ka hinhinana
jo apne ma baap ki na mana
us krishna daasi ki pukaar
us jharne se barasta pyaar
PACH sheher ka wo pyaar dekh
duur baitha ye boodha rota hai
jab log kehte hain
ki wo bhagwan se do saal chota hai
No comments:
Post a Comment