T:
Ye aisa nahi hai ki upar wale ne
Jodiyan bana ke bheji hain
Baat ye hai ki usne humein
Jitna ho saka paka ke
Zindagiyan dedi hain
P:
Aur pyaar nahi hota
lakeero pe chal ke
Jodidaar dhoondh pana
Pyaar hota hai ek duje ke
Ingredients check kar ke
Pakwan poora banana
P:
Aisa pakwan hamare saamne hai aaj
Aparajita aur Anurag
T:
Pan parag, pan masala,
Pan parag
T:
Is pakwan me chicky
Sorry chick pea ka aatta hai
P:
Chick pea se ek sher yaad aa gaya
Ye mahine bhar ke chole jo tum bana jate ho
Ye mahine bhar ke chole jo tum bana jate ho
Kya fir se bana doge
T:
Ye meri mummy ko bade ache lage ye batao
Ye meri mummy ko bade ache lage ye batao
Zindagi bhar banane ki pagaar kitni loge
T:
Acha is pakwaan me
padti hai kali mirch lahsun aur jeera
Aap likh ke le lo ladka heera hai heera
P:
Are mirchi se bhi sher yaad aa gaya
Oof oof mirchi haaye haaye mirchi
Oof oof mirchi haaye haaye mirchi
Mil ke kya na kar daalein
Jab chole me pad jaaye mirchi 🌶
Oof oof mirchi haaye haaye mirchi
T:
Fir namak
Bhaiya namak ki kami
Yahan na honi kabhi
Jo life force namak se aata hai
Wo ye lati hai, thoda ye le aata hai
Aise life ka namak hota hai
Memes, bhujiya, aur chai
Thoda bahar se le aayein
Thoda ghar me banayein
P:
Are bhujiya se sher yaad aa gaya
Jab tak rahega samose me aalu
Jab tak rahega samose me aalu
Ladka bhujiya addict hai supply rakhein chalu
T:
Ek balance hai is jodi me
Sass hai badass hai
plan bhi hai aur paagalpan bhi
Ek balance hai is jodi me
P:
ye girne lage
to wo thaam leta hai
wo yuhi kude jaye
to isse aaraam leta hai
T:
Ek ke josh ko
Dusra zubaan deta hai
Wo uske tuntune ka, wo uski awaz ka
Poora kaam leta hai
P:
Gin na pao itni hain is ladki me
Logon me ek ya do khoobi hoti hai
Ye gaati hai art banati hai generally machati hai
Kabhi delft me, kabhi dreft me doobi hoti hai
T:
Dishes se yaad aaya,
wo jo humne abhi pakwaan banaya
Usme shadi ka garam garam tel daal ke
Mast fry kar ke pakaya
P:
Aise hui ye dish taiyyaar
Taste, texture, spice optimum
T:
Dosh ka naam?
Of course Poppadom