Sunday, March 01, 2026

Meri noni

 

Tu hafta ja ya bas din bita

Tujhe utna hi maine miss kiya

Gaadi me tere gaane sune

Man me tere kisse bune


Jab akela pada to yaad kar liya

Sab kaam uske baad kar liya


Log birthday manate hain

Sath ghoomne jate hain

Ya paas aa jate hain

Ye door jana kaisa

Tareeka hua bhala

Special banne ka

Ki main to India chala


Wah re ishq mere

Zara samjha ye mujhe

Ke mere bina

Kahin kya milna hai tujhe