Monday, March 24, 2008

na sata mujhe

.
na sata mujhe
na bata mujhe
kya hota tha
kya hota hai

na yad dila
na ghut pila
tu aansu ke
dil rota hai

na badlunga
na ab lunga
ehsan tere
farmaan tere

ja ho naraaz
ya de awaz
kuch waqt to aur
ye hona hai

fir tujhe zarurat na hogi
fir meri zarurat kya hogi
fir kehna tab dekhunga main
man mein mera bhi kona hai

.

jaise dil hi na ho

.
jaise dil hi na ho
jaise ruh khali
jaise bhaav hon gum
par man sawali

jaise sun na saku
jaise nazar nahi
jaise chunti kaatu
par asar nahi

aise khalipan se
jaise bhara hua
jaise saans chale
par mara hua

.

Sunday, March 23, 2008

bhedo ki bheed

.
deewarein rakhe dimago mein
firte hain sadko raho mein
aankhein hai par nazrein nahi
chahatein rakhe salakhon mein

anjan hain wo beiman nahi
icchha hai par armaan nahi
kisi lau ki koi chamak nahi
andhera bhara hai aankhon mein

bachkane se hridayvan mein
beintaha khalipan mein
panape hai zindagi in sabki
bandhi khud hi ke dhaago mein

aakaar to lo vistaar to lo
kuch karne ka vichaar to lo
khade hain bas ek kataar main
mar chuki hai dhun sab raagon mein

na hasi hai unke thahakon mein
na karah unki aahon mein
bas hath baandh kar yu apne
chal pade allah ki panahon mein

.

Saturday, March 22, 2008

ab meri har raat suhani hai

.
ab meri har raat suhani hai,
ab mera ye jism jawani hai,
teri sari sunni hain baatein
ab mujhe har baat batani hai

ab meri har saans rawani hai
ab meri duniya deewani hai
ab meri aankhon mein khushi aur
ab meri aankhon mein pani hai

teri tasveer banani hai
mujhe wo dil mein chupani hai
kahin bhi jau to le jau
aisi saugat sajani hai

maana ye duri to aani hai
maana beraham kahani hai
wahi dur se sun jaye tujhe
basuri ki aisi dhun bajani hai

jane tu jane ke na jani hai
ye dhadkan jo tufani hai
ise tere pyar ko pana hai
ye tere pyar ne pani hai

.

Thursday, March 13, 2008

do mukam

mukam do hain zindagi mein
pane ko betaab yun hain.
lalachi kamzoriyan,
danav wo benaqaab kyu hain

yun kabhi ehsaas tha hua
pa liye jaise hon manzil
par mukam tha akela
kyuki mera dil tha buzdil

gir ke jhuk ke yu kisi ke
pairo pad ke paye wo kya
manzil hai dono ko pana
ek ko paye ho to kya

koshishon se ek din fir
chot kha, sabko hara kar
duja mukaa bhi aya to hai
par jo dekha, sir ghuma kar

pehli manzil chhod di hai
wapas kahi wo ja khadi hai
ye bhala kya zulm maula
ye bhala kaisi ghadi hai

pa sakenge ek ko hi
pate hi duji hai kho rahi
jane ye rishta hai kaisa
ye jo mil jaye to wo nahi

haarne girne ke mausam
to nahi lautenge par ab
ja lute manzil meri ya
chahe lut bhi jaye ghar ab

paunga jo paunga to
sath hi dono mukam
na jo paye, kar guzar
jayenge sab hi ko salaam

Tuesday, March 11, 2008

perl script to block comment in perl scripts (including itself :P )

yow!

commentscript
a script to comment/uncomment blocks in perl scripts

save this executable perl script in any folder that is included in PATH, or in ~/bin (which is already there in PATH). (and also make sure it is executable if it somehow doesnt work)

Usage: commentscript perlscriptname
where perlscriptname is the... make a wild guess... yip, the script containing the block that you want commented.

Description:
In any perl script, to comment blocks of code, put a block (a collection of consecutive lines, nothing more) between ## and ## (they should both be at the start of a line), and run this script on it (by passing perlscriptname as a command-line argument).

To uncomment, change both the ##'s to ##! and run this script on perlscriptname again.

Example:

print "hi. ";
##
print "hah.";

print " blah hash";
##
print "hash functions are cool";

changes to

print "hi. ";
##
# print "hah.";
#
# print " blah hash";
##
print "hash functions are cool";

and

print "hi. ";
##!
# print "hah.";
#
# print " blah hash";
##!
print "hash functions are cool";

changes to

print "hi. ";

print "hah.";

print " blah hash";

print "hash functions are cool";

ps - for extra safety, the script also makes a backup copy of the original perlscriptname by the name of perlscriptname.backup in the folder that the script (commentscript) is run from.
psst - comments, bug reports, and additional feature requests are... as ever... most welcome.

Monday, March 10, 2008

killprog - handy bash script to kill hung up processes

a handy bash script to kill required processes:

killprog

save this file in your ~/bin/ folder

usage: killprog [program1] [program2] ...

examples:
killprog vlc
killprog firefox
killprog vlc firefox

ps - if it doesnt work, make sure it is an executable.
chmod +x killprog

comments, bug reports, and additional feature requests are welcome :P