Monday, July 25, 2016

Chal ek naav bana lein

Chal tu aur main
Ek naav bana lein,
Is barasti barsaat se
Apni chhanv bana lein
Chal ek naav bana lein

Itna hai shor har taraf
Sannata ek sava paav bana lein
Sath pani me chhap chhap
Karne ka chaav bana lein
Chal ek naav bana lein

Kuch tere la kuch mere hon
Milke saanjha ek ghaav bana lein
PACH pahunch jaayein kisi tarah
Pani pe chalne wala paanv bana lein
Chal ek naav bana lein

1 comment:

  1. chal tu aur mein ik saanjh banaayein
    subah ko jaise shaam banaayein :)

    ReplyDelete